Phase 1 – Prelude
Vo pehli baari hota hai na ki kisi se Nazre milna aur bas duniya vahi tham jaye, vo pehli nazar ka jadu vo hawa behna.
Tab kaha hai ki:
Hawayein uss din ulti behne lagi,
Kadam padne se uske saansein theherne lagi.
Vo udti zulfein, vo aankho ka kajal, vo lambi muskaan,
Har chiz dil-o-jaan nikal le gayi.
Hum bhi kya khoob thikana bane unki kaza ka,
Ki maut unke deedar ki hasrat mein saath rehne lagi.
Na jaane kyun hawa uss din ulti behne lagi
Phase 2- Prelude
Phir shuru hua Phase 2.
Jab baatein shuru hui, zindagi mein khushiyan theherne lagi. Aisa laga ki yahi jeevan ki saari khushiyan mil gayi.
Tab kaha hai ki:
Khamoshiyan meri baaton mein badalne lagi,
Usse nazar milte hi dhadknein badhne lagi.
Manzar itna pyara tha ki,
Dhadkanein ab uske dil ki mujhme hi dhadakne lagi.
Jeevan ke saare sukh ek taraf ho gaye,
Lekin besabriyan saari uski nazdeekiyon se hi badhne lagi.
Phase 3- prelude
Kareebiyan badhte hi dil mein vo khayal aata hai na ki “yes, she is the one and only one”aur uske alawa ab kuch nahi. To uske upar likha hai ki:
Good morning sunne se din ki shuruvat ka lutf aane laga,
Good night poore din ki thakan chhod ke halka sa suroor chhaane laga.
Aisa laga ki sab kuch pa liya hai maine jeevan mein,
Aisa laga ki mandir mein maangi saari prarthna poori ho gayi.
Meri har ek adhoori kahani mein sirf uska hi kirdar saamne aane laga,
Sab kuch poora ho gaya tha jeevan mein, bas jeevan ka asli mazaa aane laga.
Phase 4- Prelude
Jab vo feel aati hai na ki efforts ab sirf ek taraf ke reh gaye hain but dil jo hai vo manta nahi hai aur poori koshish karta hai ki kuch bhi karke vo bas meri ho jaye. Tab kaha hai ki:
Ki maine din ko raat kar diya,
Zameen ko asmaan kar diya.
Poori mehnat laga di apni,
Uske har nakaam kaam ko kamyab karne ke liye.
Aur ek hi pal mein usne meri,
Har koshish ko raigaan kar diya.
Mere hi khuloos-e-wafa ko usne,
Sar-e-bazaar nilaam kar diya.
Phase 5- Prelude
Bahut sunna hai “nazar is real”, nazar laga di and all, but kaun manta tha in sab mein jab tak khud ki baari nahi aati.
To kaha hai ki:
Bad-dua lagayi thi jisne,
Aaj khush to vo bahut hoga.
Dekh kar tera-mera bichadta chehra,
Khushi se vo nachne mein mashroof zaroor hua hoga!
Chahta to rokk sakta tha,
Usko chhod kar jaane se.
Lekin lagta hai nazar ka chehra,
Mohabbat ki muskaan se zyaada gehra tha

